• Call Us : 03082533000 (WhatsApp)
  • Email Us : TestPointpk.com@gmail.com
Sticky Note
FIA Constable Interview Experience (Karachi Center) 30 July 2026
  1. انٹرویو میں پوچھے جانے والے سوالات
Explanation

Interview Urdu mein hua.


* Panel: Beth Jayain Ap Ahmed Hein.


Main: Yes Sir. Intro nahi liya unhn ny mujhse

  • Panel: Aap Software Engineering me graduate hain, phir Constable ki post ke liye kyun apply kiya?

Main: Mujhe bachpan se uniform job ka bohat shauq hai. Mera hamesha se law enforcement me aane ka interest raha hai, is liye maine Constable ke liye apply kiya.

  • Panel: Agar aap ko FIA me hi aana tha aur Constable banna tha, to phir Software Engineering kyun ki?

Main: Zindagi me kuch khwahishein maa-baap ki hoti hain aur kuch apni. Mere walidain ki khwahish thi ke main degree hasil karun aur Software Engineer banun, is liye maine unki khwahish poori ki. Meri apni khwahish hamesha se FIA ki uniform job me aana thi, is liye maine Constable ke liye apply kiya.

  • Panel: Kya ab aap ke walidain is faislay se razi hain?

Main: Ji haan, ab woh bilkul razi hain aur meri himayat karte hain.


  • Panel: Constable ki duties bohat tough hoti hain. Kya aap jaante hain?

Main: Ji, mujhe Constable ki duties ka achi tarah pata hai. Main un zimmedariyon ko samajhta hoon aur unhein nibhane ke liye tayyar hoon.

  •  Panel: Itni achi qualification hone ke baad bhi Constable kyun? Apni field me jao, wahan achi salaries aur jobs hain. Constable ko weapons uthani padti hain, gate duty bhi karni padti hai aur bohat mushkil halat me kaam karna padta hai.

Main: Mujhe sirf aur sirf uniform job ka shauq hai. Main apni marzi aur dilchaspi se is field me aana chahta hoon.


  •  Panel: Apni field ke baare mein batao. HTML kya hota hai? Java kya hoti hai? Python kya hoti hai? Loop kise kehte hain aur kahan istemal hota hai?

Main: Tamam technical sawalon ke jawab diye: 10/10. 


Panel: General Knowledge aur Current Affairs se sawalat kiye:

- Wars se related questions.

- Kashmir issue.

- India–Pakistan relations.

- Water issue ko kaise solve kiya ja sakta hai.

- Human Trafficking/ Smuggling 

-  First Elected Prime Minister Pk

- Bhutto Ki Hakomat / Governor Ka Role


Main: Tamam sawalon ke mutmaeen kar dene wale jawab diye or koi aisa sawal nahi tha jiska jawab na diya ho.


  • Panel: Again Tum itne hoshiyar aur qabil ho, samajh nahi aa rahi ke Constable me kyun aa rahe ho.

Main: Apni uniform job ki wajah aur interest dobara explain kiya.

  • Panel: Tumne Sub-Inspector ke liye koshish kyun nahi ki?

Main: Maine bataya ke main Constable ka test qualify kar gaya tha, lekin Sub-Inspector ka test ek number se qualify nahi kar saka.


  • Panel: Afsoos hai. Tumhare jaisa qabil candidate hamare department ke liye bohat zaroori hai. Main personally chahta ke Sub-Inspector ke taur par hamare department mein hote.
  • Panel: Beta, tumhein to har cheez aati hai mehnati bachy ho. Meri taraf se tumhara interview complete hai.

Is ke baad Director ne psychologist psychiatrist Madam se kaha:

"Ab aap inse apny hisab se baat karein."


  • Madam: Tumhari zindagi ki sab se badi khushi kya hai?
  • Main: Meri zindagi ki sab se badi khushi ye hai ke main educated hoon.
  • Madam: Education ki limits kya hain?
  • Main: Education ki koi limit nahi hoti. Taleem ek samandar ki tarah hai aur samandar ki gehrayi ki tarah is ki bhi koi inteha nahi. Agar kisi ke paas Bachelor's degree hai to woh MPhil kar sakta hai, us ke baad PhD aur us ke baad bhi mazeed research aur taleem ka safar jari reh sakta hai.

Madam: Very Good. Excellent.


Related MCQs

MCQs will be added soon

All Rights Reserved © TestPointpk.com